Raah Takte Hain Teri, Deeda-e-Hairaan, Sahir

Raah Takte Hain Teri, Deeda-e-Hairaan, Sahir
Le Gayi Tujhko Kahan Khwaab Ki Pariyaan, Sahir!

Zehar Peete Hain Hain Teri Yaad Mein, Ahbaab Tere
Haaye Kyon Chhod Gaya Mehfil-e-Yaaran, Sahir!

Ek Ek Karke Bujhe Jaate Hain Taare Saare
Yeh Nagar Dil Ka Hua Jaata Hai Veeran, Sahir!

Aashna Mujhko Kiya Rasm-e-Zunoon Se Tu Ne
Main Na Tha Pehle Kabhi Chaak-e-Girebaan, Sahir!

Khud Ko Dhanpa Hai Tere Gham Ki Kaba Se, Warna
Dil Bhi Naga Tha Tera, Rooh Bhi Uriyaan, Sahir!

Ishq, Pesha Tha Tera, Jisko Nibhaaya Maine
Chal Diya Tod Ke Tu Saare Hi Paimaan, Sahir!

Muntazir Aaj Bhi Hai Daawat-e-Shiraz Teri
Ban Ke Aaya Na Kabhi Tu Mera Mehmaan, Sahir!

Saltanat Aaj Luti, Meri Mohabbat Ki 'Adeeb'
Chhin Gaya Mujhse Mera Takht-e-Sulemaan, Sahir!

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.