Fasala To Hai Magar Koi Fasala Nahi

Fasala to hai magar koi fasala nahi
mujhase tum juda sahi dil se to juda nahi

Asman ka fikr kya asman khafa sahi
ap ye bataiye ap to khafa nahi

Kashtiyan nahi to kya hausale to pas hain
kah do nakhudaon se, tum koi khuda nahi

Lijiye bula liya ap ko khayalon may
ab to dekhiye hamay koi dekhata nahi

Aiye chirag e dil aj hi jalayen ham
kaisi kal hawa chale koi janata nahi

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.