Ghazal 4

dil gaya tum ne liya ham kya karen
janevali chiz ka gam kya karen


pure honge apne arman kis tarah
shauq behad waqt hai kam kya karen


baksh den pyar ki gustakhiyan
dil hi qabu main nahin, ham kya karen


tund khu hai kab sune vo dil ki bat
aur bhi baraham ko baraham kya karen


ek sagar par hai apni zindagi
rafta rafta is se bhi kam kya karen


kar chuke sab apni-apni hikmaten
dam nikalta hai ai mere hamadam kya karen


dil ne sikha sheva-e-beganagi
aise namuharim ko muharim kya karen


mamala hai aj husn-o-ishq ka
dekhiye vo kya karen ham kya karen


kah rahe hain ahal-e-sifarish mujhse 'Dag'
teri qismat hai buri ham kya karen

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.