Jo log jaan buujh ke naadaan ban gaye
jo log jaan buujh ke naadaan ban gaye
meraa Khayaal hai ki vo insaan ban gaye
ham hashr me.n gaye magar kuchh na puuchhiye
vo jaan buujh kar vahaa.N anjaan ban gaye
ha.Nsate hai.n ham ko dekh ke arbaab-e-aagahii
ham aap kii mizaaj kii pahachaan ban gaye
majhdhaar tak pahu.Nchanaa to himmat kii baat thii
saahil ke aas paas hii tuufaan ban gaye
insaaniyat kii baat to itanii hai shaiKh jii
badqismatii se aap bhii insaan ban gaye
kaa.NTe bahut the daaman-e-fitarat me.n ai 'Adam'
kuchh phuul aur kuchh mere armaan ban gaye
Reviews
No reviews yet.