Kah rahii hai hashr me.n vo aa.Nkh sharmaa_ii hu_ii

kah rahii hai hashr me.n vo aa.Nkh sharmaaii huii
haaye kaise is bharii mahafil me.n rusvaaii huii

aaiine me.n har adaa ko dekh kar kahate hai.n vo
aaj dekhaa chaahiye kis kis kii hai aaii huii

kah to ai gulchii.n asiiraan-e-qafas ke vaaste
to.D luu.N do chaar kaliyaa.N mai.n bhii murjhaaii huii

mai.n to raaz-e-dil chhupaauu.N par chhipaa rahane bhii de
jaan kii dushman ye zaalim aa.Nkh lalchaaii huii

Gamzaa-o-naaz-o-adaa sab me.n hai hayaa kaa lagaao
haaye re bachapan kii shoKhii bhii hai sharmaaii huii

vasl me.n Khaalii huii raqiibo.n se mahafil to kyaa
sharm bhii jaaye to jaanuu.N ke tanhaaii huii

gard u.Dii aashiq kii turbat se to jhunjhalaa ke kahaa
vaah sar cha.Dhane lagii paa.Nv kii Thukaraaii huii

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.