Siyahiyon ke bane harf harf dhote hein

Siyahiyon ke bane harf harf dhote hein
Ye log raat mein kaghaz kahan bhigote hein

Kisi ki raah mein dehliz par diye na rakho
Kiwad sukhi hui lakdiyon ke hote hein

Chiragh pani mein maujon se punchhte honge
Wo kaun log hein jo kashtiyan dubote hein

Unhi mein khelne aati hein bereya roohein
Wo ghar j6 laal hari daftiyon ke hote he in

Qadeem qasbon mein kaisa sukoon hota hai
Thake Thakaye hamare buzurg sote hein

Chamaktihaikahim sadiyonmein ansuon ki zmnein
Ghazal ke sher kahan roz roz hote he in

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.