Ab kis kaa jashn manaate ho

ab kis kaa jashn manaate ho us des kaa jo taqsiim huaa
ab kis ke giit sunaate ho us tan-man kaa jo do-niim huaa

[taqsiim=divided; do-niim=cut in two]

us Khvaab kaa jo rezaa rezaa un aa.Nkho.n kii taqadiir huaa
us naam kaa jo Tuka.Daa Tuka.Daa galiyo.n me.n be-tauqiir huaa

[rezaa-rezaa=pieces; be-tauqiir=disrespect]

us parcham kaa jis kii hurmat baazaaro.n me.n niilaam huii
us miTTii kaa jis kii hurmat mansuub uduu ke naam huii

[parcham=flag; hurmat=respect/honour; niilaam=auction]
[mansuub=nominated/appointed; uduu=enemy]

us jang ko jo tum haar chuke us rasm kaa jo jaarii bhii nahii.n
us zaKhm kaa jo siine pe na thaa us jaan kaa jo vaarii bhii nahii.n

[jang=war; vaaranaa=to offer in sacrifice]

us Khuun kaa jo badqismat thaa raaho.n me.n bahaayaa tan me.n rahaa
us phuul kaa jo beqiimat thaa aa.Ngan me.n khilaa yaa ban me.n rahaa

[ban=jungle]

us mashriq kaa jis ko tum ne neze kii anii marham samajhaa
us maGarib kaa jis ko tum ne jitana bhii luuTaa kam samajhaa

[mashriq=east; nezaa=spear; anii=spear's point]
[marham=salve/ointment; maGarib=west]

un maasuumo.n kaa jin ke lahuu se tum ne farozaa.N raate.n kii.n
yaa un mazaluumo.n kaa jis se Khanjar kii zubaa.N me.n baate.n kii.n

[farozaa.N=illuminate; mazaluum=oppressed]

us mariyam kaa jis kii iffat luTatii hai bhare baazaaro.n me.n
us iisaa kaa jo qaatil hai aur shaamil hai GamKhvaaro.n me.n

[iffat=chastity]

in nauhaagaro.n kaa jin ne hame.n Khud qatl kiyaa Khud rote hai.n
aise bhii kahii.n damsaaz hue aise jallaad bhii hote hai.n

[nauhaagar=mourner; damsaaz=supporting; jallaad=executioner (cruel)]

un bhuuke nange Dhaa.Ncho.n kaa jo raqs sar-e-baazaar kare.n
yaa un zaalim qazzaaqo.n kaa jo bhes badal kar vaar kare.n

[Dhaa.Nchaa=skeleton; raqs=dance; qazzaaq=dacoit]

yaa un JhuuTe iqaraaro.n kaa jo aaj talak aifaa na hue
yaa un bebas laachaaro.n kaa jo aur bhii dukh kaa nishaanaa hue

[aifaa=to fulfill]

is shaahii kaa jo dast-ba-dast aaii hai tumhaare hisse me.n
kyo.n nang-e-vatan kii baat karo kyaa rakhaa hai is qisse me.n

[shaahii=royal]

aa.Nkho.n me.n chhupaaye ashko.n ko ho.nTho.n me.n vafaa ke bol liye
is jashn me.n bhii shaamil huu.N nauho.n se bharaa kashkol liye

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.