Akhiri Tees azamane ko
akhiri Tees azamane ko
ji to chaha tha muskurane ko
yad itni bhi sakht jan to nahin
ik gharaunda raha hai dahane ko
sangrezon main dhal gaye ansu
log hansate rahe dikhane ko
zaKhm-e-nagma bhi lau to deta hai
ik diya rah gaya jalane ko
jalane vale to jal bujhe akhir
kaun deta Khabar zamane ko
kitne majbur ho gaye honge
ankahi bat munh pe lane ko
khul ke hansana to sab ko ata hai
log tarasate rahe ik bahane ko
reza reza bikhar gaya insan
dil ki viraniyan jatane ko
hasraton ki panahgahon main
kya thikane hain sar chhupane ko
hath kanTon se kar liye zakhmi
phul balon main ik sajane ko
as ki bat ho ki sans ‘Ada'
ye Khilaune hain tuT jane ko
Reviews
No reviews yet.