Dar K Kisi Se Chup Jata Hai Jaise Sanp Khazane Main

Dar k kisi se chup jata hai jaise sanp khazane main
zar k zor se zinda hain sab khak k is wirane main

jaise rasm ada karte hon shahron ki abadi main
subah ko ghar se dur nikal kar sham ko wapis ane main

nile rang main dubi ankhen khuli pari thin sabze par
aks para tha asman ka shayad is paimane main

dil kuch aur bhi sard hua hai sham-e-shahar ki raunaq main
kitni ziya be-sud gai hai shishe k lafz jalane main

main to 'Munir' aine main khud ko tak kar hairan hua
ye chehra kuch aur tarah tha pahle kisi zamane main

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.