Dhoom machayeN, sabza roundeN

Dhoom machayeN, sabza roundeN, phooloN ko pamal kareN
Josh-e-junuN ka ye aalam hai, ab kya apna haal kareN.

Jaan se badhkar dil hai pyara, dil se ziyada jaan aziz
Dard-e-mohabbat ka ik tohfa kis-kis ko irsaal kareN.

Rooh ki ik-ik chot ubhareN dil ka ik-ik zakhm dikhayeN
Hum se ho to numayaN kya-kya apne khdd-o-khal kareN.

Karz bhalaa kya dega koi, bheekh bhi milni mushkil hai
NadaroN ki is basti meiN kis se jake sawaal kareN.

Har ik dard ko apna janeN har ik gham ko apnayeN
Khwah kisi ki daulat-e-gham ho dil ko malamal kareN.

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.