Gardish-e-duniya

Muflisi mai bhi yahan khud ko sambhale rakhna
Jeb khali ho magar hathon ko dale rakhna

Roz ye khal hatheli se utar jaati hai jaati hai
Itna aasaan nahi muh mai niwale rakhna

Gaon poochega ke tum shehar se kiya laye ho
Mere mabood salamat mere chaale rakhna

Zindagi tune ajab kaam liya hai mujhse
Zard patto ko hawao mai sambhale rakhna

Sau diye bujhte hai, jab ek diya jalta hai
Kitna mushkil hai andhero pe ujaale rakhna

Jab bhi sach baat zaban par kabhi lana Kazim
Zahen mai apne kitabo ke hawale rakhna

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.