Garm-e-Safar

Abhi aur garm-e-safar raho wahin fikre tashna laban ruke,
Jahan zindigi ka qayam ho, jahan rakhte abre rawan ruke.

Kahan kitni shakheyn ujad gayeen, kahan kitne gul huye be sada,
Mein shajar shajar ka hisab lun, zara zore qahre khizan ruke.

Gale tegh-e-tund se jod do, ragen apni apni nichod do,
Jo chali hai damne dasht se, na wo juvye khoone rawan ruke.

Kabhi lamha bhar tere samne, ae sukute Kazime be nawa,
Na safeere ahle zaban ruke, na khateebe shola bayan ruke.

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.