Ghazal 14

uzr ane main bhi hai aur bulate bhi nahin
bais-e-tark-e-mulaqat batate bhi nahin


khub parda hai ke chilman se lage baithe hain
saf chupate bhi nahin samane ate bhi nahin


ho chuka qata ta'lluq to jafayen kyon hon
jinko matlab nahin rahta wo satate bhi nahin


zist se tang ho ae Dag to jite kyon ho
jan pyari bhi nahin jan se jate bhi nahin

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.