Haath uThe hai.n magar lab pe duaa ko_ii nahii.n

haath uThe hai.n magar lab pe duaa koii nahii.n
kii ibaadat bhii vo jis kii jazaa koii nahii.n

[duaa = prayer; jazaa = reward]

ye bhii vaqt aanaa thaa ab to gosh har aavaaz hai
aur mere barbaad-e-dil me.n sadaa koii nahii.n

aa ke ab tasliim kar le.n tuu nahii.n to main sahii
kaun maanegaa ke ham me.n bevafaa koii nahii.n

vaqt ne vo Khaak u.Daaii hai ke dil ke dasht se
qaafile guzare hai.n phir bhii naqsh-e-paa koii nahii.n

[dasht = desert/wildnerness; qaafile = caravans]
[naqsh-e-paa = footprints]

Khud ko yuu.N mahasuur kar baiThaa huu.N apanii zaat me.n
manzile.n chaaro.n taraf hai raastaa koii nahii.n

[mahasuur = surrounded; zaat = self/one's personality]

kaise raasto.n se chale aur kis jagah pahu.Nche 'Faraz'
yaa hujuum-e-dostaa.N thaa saath yaa koii nahii.n

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.