Hoton pe mohabbat key fasane nahin aate

Hoton pe mohabbat key fasane nahin aate
Sahil pe samandar key khazane nahin aate

Palken bhi chamk uthti hein sote mein hamaari
Aankhon ko abhi khuwab chhupane nahin aate

Dil uj di hui eik saraye ki tarah hai
Ab log yahan raat jagane nahin aate

Udne do parindon ko abhi shokh hawa mein
Phir laut key bachpan key zamane nahin aate

Is shehr key baadal teri zulfon ki tarah hein
Ye aag lagate hein bujhane nahin aate

Ahbab bhi Ghairon ki ada seekh gaye hein
Aate hain magar dil ko dukhane nahin aate

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.