Idhar Se Abr Uthkar Jo Gaya Hai

idhar se abr uthkar jo gaya hai
hamari khak par bhi ro gaya hai

masaib aur the par dil ka jana
ajab ik saniha sa ho gaya hai

muqamir-khana-e-afaq wo hai
k jo aya hai yan kuch kho gaya hai

sarhane 'Mir' k ahista bolo
abhi tuk rote rote so gaya hai

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.