Juz tere ko_ii bhii din raat na jaane mere
juz tere koii bhii din raat na jaane mere
tuu kahaa.N hai magar ai dost puraane mere
[juz=except]
tuu bhii Khushbuu hai magar meraa tajassus bekaar
barq-e-aavaaraa kii maanind Thikhaane mere
shamaa ki lau thii ke vo tuu thaa magar hijr kii raat
der tak rotaa rahaa koii sirhaane mere
[sirhaane=bed-side]
Khalq kii beKhabarii hai ke merii rusavaaii
log mujh ko hii sunaate hai.n fasaane mere
luT ke bhii Khush huu.N ke ashko.n se bharaa hai daaman
dekh Gaaratgare dil ye bhii Khazaane mere
aaj ik aur baras biit gayaa us ke baGair
jis ke hote hue hote the zamaane mere
kaash tuu bhii merii aavaaz sunataa ho
phir pukaare hai tujhe dil kii sadaa ne mere
kaash tuu bhii kabhii aajaaye masiihaaii ko
log aate hai.n bahut dil ko dukhaane mere
kaash auro.n kii tarah mai.n bhii kah sakataa
baat sun lii hai merii aaj Khudaa ne mere
tuu hai kis haal me.n ai zuudfaraamosh mere
mujh ko to chhiin liyaa ahad-e-vafaa ne mere
chaaraagar yuu.N to bahut hai.n magar ai jaan-e-'Faraz'
juz tere aur koii Gam na jaane mere
Reviews
No reviews yet.