Is ka gila nahi ki dua be-asar gai

Is ka gila nahi ki dua be-asar gai
ik aah ke thi wo bhi kaheen ja ke mar gai
ae ham-nafas na puch javani ka majara
mauj-e-nasim thi, idhar aai, udhar gai
dam-e-gam-e-hayat mein ulajha gai umid
hum ye samajh rahe the ki ehsaan kar gai
is zindagi se hum ko na duniya mili na din
taqadir ka mushahida karte guzar gai
bas itna hosh tha mujhe roz-e-vida-e-dost
virana tha nazar mein jahan tak nazar gai
har mauj aab-e-sindh hui vaqf-e-pech-o-tab
"mehroom" jab vatan mein hamari khabar gai

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.