Kabhi akaile ma mil kar jhanjhoR doon ga usse

Kabhi akaile ma mil kar jhanjhoR doon ga usse
Jahan jahan se wo toota hai joR doon ga usse

Mujhe choR gaya ye kamaal hai us ka
Iraada ma ne kiya tha ke choR doon ga usse

Paseene baant'ta phirta hai har taraf sooraj
Kabhi jo haath laga to nichoR doon ga usse

Maza chakha ke hi maana hoon ma bhi dunya ko
Samajh rahi thi ke aise hi choR doon ga usse

Bacha ke rakhta hai khud ko wo mujh se shseesha badan
Usse ye dar hai ke toR phoR doon ga usse

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.