Kahin palken os se dho gayin kahin dil ko phoolon se bhar gayin

Kahin palken os se dho gayin kahin dil ko phoolon se bhar gayin
Tiri yaad solah singar hai jise chhoo diya wo sanwar gayin

Main sunahre patton ka ped hun mein khizan ka husn-o-viqar hun
Mire baal chandi ke ho gaye mire sar pe dhoop Thahar gayi

Mira shayrana sa khuwab thi jise log kahte hein zindagi
Inhi nakhudaon key khauf se wo chadni nadi mein utar gayi

Tiri aarzo tiri justju main bhatak raha tha gali gali
Miri dastan tiri zulf hai jo bikhar bikhar key sanvar gayi

Unhi do gharon key qareeb hi kahin aag Ie key hawa bhi thi
Na kabhi tumhari nazar gayi na kabhi hamari nazar gayi

Na ghamon ka mere hisab Ie na ghamon ka apne hisab de
Wo ajeeb raat thi kya kahen jo guzar gayi so guzar gayi

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.