Kamar baandhhe huwe chalne ko

kamar baandhhe huwe chalne ko yaaN sab yaar baiThhe haiN
bahut aage gaye, baaqi jo haiN, taiyyaar baiThhe haiN

na chheD ai nakhat-e-baad-e-bahaari, raah lag apni
tujhe aTkhheliyaaN soojhi haiN hum bezaar baiThhe haiN

tasawwur arsh par hai aur sar hai paa-e-saaqi par
Gharaz kuchh aur dhhun meiN is ghhaDi maiKhwaar baiThhe haiN

nishaan-e-naqsh-e-paa-e-rahrawaaN kuu-e-tamanna meiN
nahiN uThhne ki taaqat kya kareN laachaar baiThhe haiN

najeeboN ka ajab kuchh Haal hai is daur meiN yaaro
jise poochho yahi kehta hai hum bekaar baiThhe haiN

bhala gardish falak ki chain deti hai kise 'Insha'
Ghanimat hai ke hum suurat yahaN do chaar baiThhe haiN

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.