Khwaabon Ka Nagar Jala Howa Tha

Aqs-e-Gul Ter Jala Howa Thaa
Khwaabon Ka Nagar Jala Howa Tha
Ya Dast-e-Dua Na Uth Saka Tha
Ya Os Ka Asar Jalaa Howa Tha
Har Ghar Tha Luta Howa Kayi Baar
Aur Baar-e-Gard Jalaa Howa Tha
Ya Noch Lye Gaye Thay Pattay
Ya Saara Shajar Jalaa Howa Tha
Aankhon Ki Jaga Pe Aablay Thay
Aur Taar-e-Nazar Jalaa Howa Tha
Malba Tha Tamaam, Sheher-e-Khobi
Aur Ho Ke Khandar Jalaa Howa Tha
Teh-Khaana Jaan Mein Tujh Ko Rakhti
Laikin Mera Ghar Jalaa Howa Tha
Kuch Dair Ka Sokhta Na Tha Sheher
Ye Aath Peher Jala Howa Tha
Parwaaz Ka Itna Dar Qafas Mein
Tota Howa Par Jalaa Howa Tha
Manzil Thi Ghubaar-e-Raah Mein Guum
Aur Rakht-e-Safar Jalaa Howa Tha

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.