Mohabbaton mein dikhawe ki dosti na mila

Mohabbaton mein dikhawe ki dosti na mila
Agar gale nahin milta to haath bhi na mila

Gharon pe naam they, naamon key saath ohde they
Bahut talaash kiya koi aadmi na mila

Tamaam rishton ko main ghar pe chhod aaya tha
Phir uske baad mujhe koi ajnabi na mila

Khuda ki itni badi kaaynat mein maine
Bas eik shakhs ko manga mujhe wohi na mila

Bahut ajeeb hai ye qurbaton ki doori bhi
Wo mere saath raha aur mujhe kabhi na mila

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.