Mujhe bhulaye kabhi yaad karke roye bhi

Mujhe bhulaye kabhi yaad karke roye bhi
Wo apne aap ko bikhraye aur piroye bhi

Bahut gubaar bharaa tha dilon mein donon key
Magar wo eik hi bistar pe raat soye bhi

Bahut dinon se nahaaye nahin hain aangan mein
Kabhi to raah ki barish hamein bhigoye bhi

Ye tumse kisne kaha raat se main darta hun
Zaroor aye mere bazuon mein soye bhi

Wo nojawan to jawaani ki neend mein gum tha
Bahut pukaara jhinjhoda lipat ke roye bhi

Yaqeen janiye ahsaas tak na hoga hamein
Nason mein suiyan koi agar chubhoye bhi

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.