Phuulo.n kii Tahaniyo.n pe nasheman banaayiye
Phuulo.n kii Tahaniyo.n pe nasheman banaayiye
bijalii gire to jashn-e-charaaGaa.N manaayiye
[Tahanii = branch; nasheman = nest]
[jashn-e-charaaGaa.N = celebration of lights]
kaliyo.n ke ang ang me.n miThaa saa dard hai
biimaar nikahato.n ko zaraa gudgudaayiye
[nikahat = fragrance]
kab se sulag rahii hai javaanii kii garm raat
zulfe.n bikher kar mere pahaluu me.n aayiye
bahakii huii siyaah ghaTaao.n ke saath saath
jii chaahataa hai shaam-e-abad tak to jaayiye
[shaam-e-abad = unending evening]
sun kar jise havaas me.n ThanDak sii aa base
aisii koii udaas kahaanii sunaayiye
[havaas = sense and sensibility]
raste pe har qadam pe Kharaabaat hai.n 'Adam'
ye haal ho to kis tarah daaman bachaayiye
Reviews
No reviews yet.