Ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa
ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chho.D ke jaane ke liye aa
pahale se maraasim na sahii phir bhii kabhii to
rasm-o-rahe duniyaa hii niibhaane ke liye aa
kis kis ko bataaye.nge judaaii kaa sabab ham
tuu mujh se Khafaa hai to zamaane ke liye aa
kuchh to mere pindaar-e-muhabbat ka bharam rakh
tuu bhii to kabhii mujh ko manaane ke liye aa
ek umr se huu.N lazzat-e-giriyaa se bhii maharuum
ai raahat-e-jaa.N mujh ko rulaane ke liye aa
ab tak dil-e-Khushfaham ko tujh se hai.n ummiide.n
ye aaKhirii shamme.n bhii bujhaane ke liye aa
Reviews
No reviews yet.