Roshan Jamaal-e-Yaar Se

Roshan jamaal-e-yaar se hai anjuman tamaam
Deheka hua hai aatish-e-gul se chaman tamaam

Hairat ghuroor-e-husn se shokhi se iztaraab
Dil ne bhi tere seekh liye hain chalan tamaam

Allah-re jism-e-yaar ki khoobi ke khud-ba-khud
Rangeeniyon mein doob gaya pairahan tamaam

Dekho to chasm-e-yaar ki jaadu nigaahiyaan
Behosh ek nazar mei hui anjuman tamaam

Sheerini-e-naseem hai soz-o-gudaaz-e-meer
Hasrat tere sukhan pe hai lutf-e-sukhan tamaam...

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.