Sarood-e-aish gawein ham, ager wo ishwa saaz aawey

Sarood-e-aish gawein ham, ager wo ishwa saaz aawey
Bajawein tabl shadi ke, ager wo dil nawaz aawey

Khumar-e-hijer ne diya hai dard-e-ser mujkoon
Rakhoon nasha naman akhyaan mein ger wo mast-e-naaz aawey

Junoon ishq mein mujh ko'on nahi zanjeer ki hajit
Ager meri khaber lene ko'on wo zulf-e-daraz aawey

Adab ke ehtamam aage na paawey barda'an hergiz
Tere sa'ey ki pa bosi ko'on ger rang-e-ayaaz aawey

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.