Taraana-e-Milli
Cheen-o-Arab hamara, Hindustan hamara
Muslim main hum, watan hai sara jahan hamara
Tauheed ki amanat senon main hai hamarey
Asan nahin mitana naam-o-nishaan hamara
Duniya kay bu't kadon main, wo pehla ghar Khuda ka
Hum uss kay pasban hain, wo pasban hamara
Tagho'n Ke saaye main hum Pal kar Jawan Huway Hain
Khanjer Hilal ka hay Komi Nisha,n hamara
Maghrab Ki wadiyo,n main goongi aza'n hamari
Thamta Na tha kisi say sail-e-rawa'n hamara
Baatil say dabney waley, aey Asman! nahin hum
Sou baar ker chuka hai Tu imtihan hamara
Ay gulsitan-e-undlus wo din hei'n yad tujh ko
Tha tari dalyoo'n per jab ashyaa'n hamara
Ay moj-e-Dajla tub hi pehchanti hey hum ko
Ab tak hey tera derya afsana khwa'n hamara
Ay arz-e-pak tari hurmat pe kat maray hum
Hy khou'n tari ragoo'n may ab tak rawa'n hamara
Salar-e-Karwan hai Meer-e-Hijaaz (PBUH) apna
Iss naam say hai baaqi, aaram-e-jahan hamara
Iqbal ka tarana baang-e-dara hai goya
Hota hai jada paima, phir karwan hamara
Reviews
No reviews yet.