Tujhe izhar-e-Mohabbat Say Agar Nafrat Thee

Tujhe izhar-e-Mohabbat Say Agar Nafrat Thee,
Tu Nay HonTon Ko Laraznay Say To Roka Hota

Bay Niazi Say Magar Kaanpti Aawaz K Saath
Tu Nay Ghabra K Mera Naam Nah Poocha Hota

Terey Buss Main Thee Agar Mashal-e-jazbaat Ki Lau
Terey Rukhsaar Main Gulzaar Nah BhaRka Hota

Youn To Hwin Mujh Say Buss Aa-o-Hawa Ki Batein
Apnay tootey Huey Fiqron Ko To Parkha Hota

Youn He Bay Wajah He Thaknay Ki Zarurat Kiya Thee
Dam-e-Rukhsat Agar Kuch Yaad Nah Aaya Hota

Tera Ghammaz Bana jo tera Andaz-e-jurm
DiL Nah Sumbhla Tha To Qadmon Ko Sumbhala Hota

Apnay badley Meri Tasveer Nazar aa jati
Tu Nay Us Waqt Agar Ayena Dekha Hota

Hosla Tujh Main Nah Tha Mujh Say juda Honay Ka
Warna[black] Kaajal Teri Aankhon Main Nah Phela Hota

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.