Tund mai aur aise kam_sin ke liye

tund mai aur aise kamsin ke liye
saaqiyaa halkii sii laa in ke liye

mujh se ruKhsat ho meraa ahad-e-shabaab
yaa Khudaa rakhanaa naa us din ke liye

hai javaanii Khud javaanii kaa singaar
saadagii gahanaa hai is sin ke liye

sab hasii.n hai.n zaahido.n ko naapasand
ab koii huur aayegii in ke liye

vasl kaa din aur itanaa muKhtasar
din gine jaate the is din ke liye

saarii duniyaa ke hai.n vo mere sivaa
mai.n ne duniyaa chho.D dii jin ke liye

laash par ibarat ye kahatii hai 'Ameer'
aaye the duniyaa me.n is din ke liye

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.