Abhi is taraf na nigaah kar main ghazal ki

Abhi is taraf na nigaah kar main ghazal ki palken sanwaar lun
Mira lafz lafz ho aina tujhe aine me in utar lun

Main tamaam din ka thaka hua Tu tamaam shab ka jaga hua
Zara thehr ja isi mod par tere saath shaam guzaar lun

Agar aasman ki numaishon mein mujhe bhi izne qyam ho
To main motiyon ki dukan se teri baliyan tire haar lun

Kahin aur bant de shohratein kahin aur bakhsh de izzatein
Mire paas hai mira aina main kabhi na gard-o-ghubaar lun

Kai ajnabi teri raah mein mire paas se yun guzar gaye
Jinhe dekhkar ye tadap hui tira naam Ie ke pukaar lun

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.