Bint-e-Lamhaat

tumharey lehjey maiN jo garmi-o-halavat hai
isey bhala sa koi naam do vafaa ki jagah

Ghuneem-e-noor ka hamla kahoo andhairooN par
diyyar-e-dard maiN aamud kahoo maseeha ki

ravaaN-davaaN hoey KhushbooN ke qafley her soo
Khalaa-e-subh maiN goonji sehar ki shehnai

ye ek kohraa sa, yeh dhoondh si jo chaii hai
is iltihaab maiN, surmageeN ujaley maiN

siva tumharey mujhey kuch nazar nahi aata
hayaat naam hai yadooN ka talKh aur sheereeeN

bhala kisi nay kabhi rung-o-boo ko pakd.ra hai
shafaq ko qaid main rakhaa sabaa ko band kia

her ek lamhey guraizaaN haiN jaisey dushman hai
na tum miloo gee na maiN, hum bhi dono lamhey haiN
voh lamhey jo ja ke wapis kabhi nahi aatey

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.