Dil par chhaya raha umas ki tarah

Dil par chhaya raha umas ki tarah
Eik lamha tha sau baras ki tarah

Wo mohabbat ki tarh pighlegi
Main bhi marjaunga hawas ki tarah

Raat sar par liye huye jangal mein
Raaste ki kharaab bas ki tarah

Aatma bezabaan maina hai
Aur maati ka tan qafas ki tarah

Khaanqahon mein khaak udti hai
Urdu waalon key kampus ki tarah

Maut ki waadiyon se guzrunga
Main pahaadon ki eik bus ki tarah

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.