Ghazlon ka hunar apni aankhon ko sikhayenge

Ghazlon ka hunar apni aankhon ko sikhayenge
Royenge bahut lekin aansu nahin ayenge

Kah dena samandar se ham os key moti hain
Darya ki tarah tujh se milne nahin ayenge

Wo dhoop key chhappar hon ya chhaon ki deewaren
Ab jobhi uthayenge mil jul key uthayenge

Jab saath na de koi aawaz hamein dena
Ham phool sahi lekin patthar bhi uthayenge

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.