a ho gar aashna nahin hota

Na ho gar aashna nahin hota
buth kisi ka khuda nahin hota

tum bhi oos waqt yaad aate ho
jab koi aasraa nahiN hota

dil meiN kitna sukooN hota hai
jab koi muddawa nahiN hota

ho na jab tak shikar-e-naakami
aadmi kaam ka nahiN hota

zindagi thi shabaab tak 'seemab'
ab koi saaneha nahiN hota

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.