Hum nay khulnay na diya bay sar o samani ko

hum nay khulnay na diya bay sar o samani ko
kahan lay jayain gai magar shehar ki viraani ko

sirf guftar say zakhmoon ka rafo chahtay hein
yeah sayasat hai tu phir kaya kahain nadaani ko

koi taqseem nahi kar kay chala jata hai
jo bhi aata hai mere ghar ki nigehbani ko

aab kahaan jaoon keh ghar mein bhi hoon dushman apna
aur bahir mere dushman hai nigehbaani ko

bay hissi woh hei keh karta nahi insaan mehsoos
apni hee roh mein aye hoi tughyani ko

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.