Jag Main Akar idhar udhar dekha

jag main akar idhar udhar dekha
tu hi aya nazar jidhar dekha

jan se ho gaye badan khali
jis taraf tune ankh bhar k dekha

nala fariyad ah aur zari
ap se ho saka so kar dekha

un labon ne ki na masihai
ham ne sau -sau tarah se mar dekha

zor ashiq mizaj hai koi
'Dard' ko qisa-e-mukhtasar dekha

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.