Kiya Mujh Ishq Ne Zalim Kon Ab Ahista Ahista

Kiya mujh ishq ne zalim kon ab ahista ahista
Ke atish gul ko karti hai gulab ahista ahista
Wafadari ne dilbar ki bujhaya atish e gam kon
Ke garmi dafa karta hai gulab ahista ahista
Ajab kuch lutf rakhta hai shab e khilwat may gulroo son
Khitab ahista ahista jawab ahista ahista
Mere dil kon kiya bekhud teri ankhiyan ne akhir kon
Ke jiyon behosh karati hai sharab ahista ahista
Hua tujh ishq son ai atishinru dil mera pani
Ke jiyon galta hai atish son gulab ahista ahista
Adaa o naz son ata hai wo roshan jabeen ghar son
Ki jiyon mashriq se nikle aftab ahista ahista
quot;wali quot; mujh dil may ata hai khayal e yar e beparwah
Ke jiyon ankhyan may ata hai khab ahista ahista

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.