Maruu.N to mai.n kisii chehare me.n rang bhar jaa_uu.N

maruu.N to mai.n kisii chehare me.n rang bhar jaauu.N
'Nadeem' kaash yahii ek kaam kar jaauu.N

ye dasht-e-tark-e-muhabbat ye tere qurb kii pyaas
jo izaa.N ho to terii yaad se guzar jaauu.N

[izaa.N = permission]

meraa vajuud merii ruuh ko pukaarataa hai
terii taraf bhii chaluu.N to Thahar Thahar jaauu.N

tere jamaal kaa paratau hai sab hasiino.n par
kahaa.N kahaa.N tujhe Dhuu.NDhuu.N kidhar kidhar jaauu.N

[paratau = reflection (saayaa,aks)]

mai.n zindaa thaa ki teraa intazaar Khatm na ho
jo tuu milaa hai to ab sochataa huu.N mar jaauu.N

ye sochataa huu.N ki mai.n butparast kyuu.N na huaa
tujhe qariib jo paauu.N to Khud se Dar jaauu.N

kisii chaman me.n bas is Khauf se guzar na huaa
kisii kalii pe na bhuule se paa.Nv dhar jaauu.N

ye jii me.n aatii hai taKhliiq-e-fan ke lamho.n me.n
ki Khuun ban ke rag-e-sang me.n utar jaauu.N

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.