Sare raah khuchh bhi kaha nahin

Sare raah khuchh bhi kaha nahin kabhi uske ghar mein gaya nahin
Main janam janam se usi ka hun use aaj tak ye pata nahin

Use paak nazron se chumna bhi ibadaton mein shumaar hai
Koi phool laakh qareeb ho kabhi maine usko chhua nahin

Ye khuda ki den ajeeb hai ki isi ka naam naseeb hai
Jise tune chaha wo milgaya jise maine chaha mila nahin

Isi shaher mein kai saal se mire khuchh qaribi aziz hein
Unhen meri koi khabar nahin mujhe un ka koi pata nahin

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.