Shikast-e-shauq ko takmeel-e-aarzuu kahiye

shikast-e-shauq ko takmeel-e-aarzuu kahiye
ke tishnagii ko bhi paimaan-o-subuu kahiye

khayaal-e-yaar ko deejiye wisaal-e-yaar ka naam
shab-e-firaaq ko gesoo-e-mushk.buu kahiye

charaaGh-e-anjuman hairat-o-nazaara haiN
laala.ruu jinheiN ab baab-e-aarzuu kahiye

shikaayateiN bhi bahut hain hikaayateiN bhi bahut
mazaa tau jab hai ke yaaroN ke ruu-ba-ruu kahiye

mahak rahi hai Ghazal zikr-e-zulf-e-khuubaaN se
naseem-e-subH kii maanind kuu-ba-kuu kahiye

ai hukm keejiye phir Khanjaron ki dilzaarii
jahaan-e-zakhm se afsaana-e-guluu kahiye

zubaan-e-shoKh se karte hain pursish-e-aHvaal
aur uske baad ye kahte haiN aarzuu kahiye

Qitaa

hai zakhm zakhm magar kyuN na jaaniye use phuul
lahuu lahuu hai magar kyuN use lahuu kahiye

samajhiye qaamat-e-yaaraan-e-kaj.adaa ki tarah
??? paaye nigaaraaN ???

jahaaN jahaaN bhi khizaaN hai wahiiN wahiiN hai bahaar
chaman chaman yahii afsaanaa-e-numuu kahiye

zamiiN ko deejiye dil-e-mud'daa talab ka payaam
khizaaN ko wus'at-e-daamaan-e-aarzuu kahiye

saNwaariye Ghazal apnii bayaan-e-Ghalib se
zabaan-e-Meer meiN bhi haaN kabhuu kabhuu kahiye

magar wo harf dhaRakne lage jo dil ki tarah
magar wo baat jise apnii guftaguu kahiye

magar wo aaNkh ke jismeiN nigaaH apnii ho
magar wo dil jise apnii justujuu kahiye

kisi ke naam pe Sardar kho chuke haiN jise
usi ko ahl-e-tamanna kii aabruu kahiye

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.