UjRii ujRii huii har aas lage

UjRii ujRii huii har aas lage
zindagii Ram ka ban-baas lage

tuu ke bahtii huii nadiyaa ke samaan
tujhko dekhuuN to mujhe pyaas lage

phir bhii chhuunaa use, aasaan nahiiN
itnii duurii pe bhii, jo paas lage

vaqt saayaa saa koii chhoR gayaa
ye jo ek dard kaa ehsaas lage

aik ek laher kisii yug kii kathaa
mujhko Gangaa ko'ii itiihaas lage

sher-o-naGhme se ye vahshat terii
Khud terii ruuh ka aflaas lage

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.