Vo ko_ii aur na thaa chand Khushk patte the

vo koii aur na thaa chand Khushk patte the
shajar se TuuT ke jo fasl-e-gul pe roye the

[Khushk=dry; chand=few; shajar=tree; fasl-e-gul=spring]

abhii abhii tumhe.n sochaa to kuchh na yaad aayaa
abhii abhii to ham ek-duusare se bichha.De the

tumhaare baad chaman par jab ik nazar Daalii
kalii kalii me.n Khizaa.N ke chiraaG jalate the

tamaam umr vafaa ke gunaahgaar rahe
ye aur baat ki ham aadamii to achchhe the

shab-e-Khaamosh ko tanhaaii ne zabaa.N de dii
pahaa.D guu.Njate the dasht sansanaate the

[shab-e-Khaamosh=silent night; dasht=desert]

vo ek baar mare jin ko thaa hayaat se pyaar
jo zindagii se gurezaa.N the roz marate the

[hayaat=life; gurezaa.N=to run away from]

naye Khayaal ab aate hai.n Dhal ke zahan me.n
hamaare dil me.n kabhii khet lahlahaate the

[zahan=mind]

ye iratiqaa kaa chalan hai ki har zamaane me.n
puraane log naye aadamii se Darate the

[iratiqaa=progressive]

'Nadeem' jo bhii mulaaqaat thii adhuurii thii
ki ek chehare ke piichhe hazaar chehare the

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.