Wo mahakti palkon ki ot se koi taara chamka tha raat mein

Wo mahakti palkon ki ot se koi taara chamka tha raat mein
Miri band mutthi na kholiye wahi kohinoor hai haath mein

Main tamam tare utha utha key ghareeb logon mein bant dun
Kabhi eik raat wo aasman ka nizam den mire hath mein

Abhi shaam tak mire bagh mein kahin koi phool khila na tha
Mujhe khushbuon mein basa gaya tira pyar eik hi raat mein

Tire shath itne bahut se din to palak jhapakte guzar gaye
Hui shaam khel hi khel mein gayi raat baat hi baat mein

Koi ishq hai ke akela ret ki shaal odh ke chal diya
Kabhi baal bachchon ke saath aa ye padau lagta hai raat mein

Kabhi saatrangon ka phool hun kabhi dhoop hun kabhi dhool hun
Main tamaam kapde badal chuka tere mausamon ki baraat mein

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.