Dam-e-subah bazm-e-khush jahan

dam-e-subah bazm-e-khush jahan shab-e-gam se kam na thi meharban
k chirag tha so to dud tha jo patang tha so gubar tha

dil-e-khasta jo lahu ho gaya to bhala hua k kahan talak
kabhi soz-e-sina se dag tha kabhu dard-o-gam se figar tha

dil-e-muztarib se guzar gai shab-e-wasl apni hi fikr main
na dimag tha na farag tha na shakb tha na qarar tha

Rate this poem: 

Reviews

No reviews yet.