Labo.n pe narm tabassum rachaa ke dhul jaaye.N
labo.n pe narm tabassum rachaa ke dhul jaaye.N
Khudaa kare mere aa.Nsuu kisii ke kaam aaye.N
jo ibtadaa-e-safar me.n diye bujhaa baiThe
vo badnasiib kisii kaa suraaG kyaa paaye.N
talaash-e-husn kahaa.N le chalii Khudaa jaane
umang thii ki faqat zindagii ko apanaaye.N
bulaa rahe hai.n ufaq par jo zard-ruu Tiile
kaho to ham bhii fasaane ke raaz ho jaaye.N
na kar Khudaa ke liye baar-baar zikr-e-bahisht
ham aasmaa.N kaa mukarrar fareb kyo.n khaaye.N
tamaam maikadaa sunsaan maigusaar udaas
labo.n ko khol kar kuchh sochatii hai.n miinaaye.N
Reviews
No reviews yet.